Success Full Blogger Kaise Bane In 2018

Hello Friends to kaise hai aap log ummid karta hin ke aap log thik hi honge. To ye article bahut hi importent he agar aap ek Success Full Blogger banana chahte to. Jaisa ki aap jante honge ki aaj kal ke blogger kitna Online Earning kar rahe hai. Wo bhi sirf blogging kar ke. Jahan tak meri baat he me pichle 1 year se blogging me hon or mujhe blogging karne me bahut achacha bhi lagta hai. Aap log ke sath Knowladge share karna And aap log ko Updated lakhna mujhe bahut hi achacha lagta.


Success Full Blogger Kaise Bane In Hindi
Success Full Blogger Kaise Bane In 2018


To agar aap log ka bhi koi passion he to aap bhi apna Blog Create kar sakte hai or Earning kar sakte. Main aap ko bata don ke blogging Best Tarika Hai Online Earning ka. Agar other platform ki baat karon to usme bahut kaam karna hota hai or earning bhi nahi ho pati lakin blog ki baat kare to aapko isme sirf regular article likhna hota hai or kuch bhi nahi. And sabse achachi baat ye hai ki isme aapko bahut sara paisa bhi milta hai.


Success Full Blogger Kaise Bane 

Success Full Blogger banne ke liye aap log ko bahut sari baato ka dhiyaan rakhna parta hai. Jaisa ki maine aap ko pahle hi kahan ki blogging me kam work karna parta hai other platform se exam- ( Youtube, Affilate Marketing, Ecommers, Business ). Lakin aisa bhi nahi he ki aapko bina kaam kiya hi earning honi start ho jayegi. Isme bahut sare baat ka dhiyaan rakhna parta hai tabhi aap Ek Success Full Blogger Banenge. 



1.  Your Skill 

Ji han friends agar aapko ek Success Blogger banna he to aapko apne skill ko pata karna hoga. Waise sabhi ko pata hota ki main iss chij me achacha hon ya phir mujhe ye Skill janta hon. To sayad aap ek achacha blog create kar sakte hai. 

Lakin agar aap ko koi bhi Skill nahi aata yani ki aap ko kuch bhi nahi aata to aap hi batao ki agar aap apna blog bana lete hai to aap usme likhoge kiya or kissi ko bhi kis chij ki information share karoge. To chalye me bata deta hon ki aapke paas ye skills hai to aap bhi ek bahut achache blogger ban sakte hai. Waise to aap kisi bhi topic per Blogging kar sakte hai. Lakin aise bahut sare topic bhi he jispe aap blog create karoge to aap ko bahut kam time me Success ho sakte ho.
  • Moblie Phone Review
  • Health 
  • Travling
  • Business Idea
  • Make Money Online
  • Education
  • Blogging
  • Yotube
  • Tranding Topic
Ye aise Topic/Niche hai jispe aap blog create kar ke bahut sare earning kar sakte ho. Keu ke ye sab topic trending chal rahi hai issi liya aap ko yehi sab topic pe Blogging Start Kar sakte ho.

2. Patience ( Sabar kare )

Agar aap ko ek Success full blogger banana hai to aapka sabse pahla challenge ki aapko Patience rakhna hoga. Keu Blogging pe aisa nahi hota he ki aap aaj blog create karo and kal se aap ke blog pe traffic aapna start ho jaye. Aisa kisi ke sath bhi nahi hota he chahe wo kitna bara Blogger ho. Issi liya jiada tar Blog Jaida chal nahi pata. Wo log 1-2 Month work karte hai or phir oske blog pe visitor nahi aata to wo Blogging karna hi chor dete hai

Lakin agar aapko ek achacha blogger banana he to aapko Patience rakhna hoga. Aap ko haar nahi mana hai. Agar aap kuch time tak work karte hai or phir chor dete hai to aapka blog ka ranking girne lagta hai or phir aap ka blog bahut piche hat jata hai.

Lakin agar aap 5-6 month regular work kate hai to aapka blog Google me Rank karega or aapke Blog par bahut sare visitor bhi aate rahenge. Jahan tak earning ki baat hai to aapko 5-6 month me apna earning nikaal sakte. And kabhi kabhi kam time me bhi aap Earning kar na start kar dete hai.



Read Also -:



3.  Copy & Paste

Copy & Paste ye work bahut logo ko achacha lagta keu ki wo log apna kuch likhna nahi chahte sirf copy kar ke apna post karte hai. Lakin agar aap log bhi aisa karte hai to ap bhul hi jao ki aap ek Succsee Full Banoge. Agar aap copy pest wala kaam karte ho to Google aapko jaan leta hai Or phir aapka Blog pe Adsense ka approval bhi nahi deta hai. 

Lakin Copy Pest work ka sabse bara ghata hai ki aapka Blog ke Article ko Google rank karne nahi deta hai. Jisse aapke blog pe visitor nahi aa pate hai or jab aapka blog ka article koi nahi read karega to aap paisa bhi nahi kama sakte hai.

To sabse pahle aapko apna khud ka article likhna hoga tabhi aap ek success full blogger ban sakte ho. Nahi to aap kabhi bhi ek blogger ke pahchan nahi bana paoge. To bas aap apne khud se article likho or Banao apna pahchan Blogger ke naam se.

4.  Website Desgin

Agar aap log bhi ek achacha Blog Create karna chahte hai to aapko apne Blog ka Desgin achacha rakhna hoga. Keu ki agar aap log apna web ka desgin nahi rakhenge to aapke visitor ko pasand nahi ayega or wo aapka article jiada time tak nahi read karenge.


Success Full Blogger Kaise Bane In 2018
Web Desgining For Become A Success Blogger


Website ka desgin agar achacha hoga or mobile friendly hoga to aapka Blog Google ko bhi pasand aa jata hai or phir Google apka Blog Search jaldi aane lagta. Agar aapko Web Desgin karna nahi aata to aap kisi ka bhi help le sakte hai.

Aapka Blog ka Desgin Seo pe bhi asar daalta hai keu ki wahan par HTML, JAVA,PHP,CSS, jaise bahut sare Programing Launguag Use Hota hai. Or agar aapka sara Coding achacha se nahi hota hai to Google usse Search me nahi aane deta.


5.  Search Engine Optimization (SEO)

Jaisa ki aap log ko pata hoga ki kisi bhi article ko rank karne ke liye article ka Seo karna hota. Ab aap bologe ki Seo karne se kiya faida ho sakta hai. To main bata don ki agar aap apne article ko achache se Seo karte hai to aapka article Google ke first page pe rank kar sakta. 

Or aap to jaante hi honge ki agar koi article Google ke First Page Pe Rank karega to usme kitna jiada traffic ayega. Or aapka sare article bhi rank kar sakte hai keu aapka ek article Google ke first page pe rank kar raha he. And iska sabse bara faida ye he ki aapka Earning bahut jiada ho sakta hai keu ki aapka article me bahut visitor aa rahe hai.

Seo karne ke liye aapko bahut sara work karna hota. or aapka article ka Bcklink Create karna parta ha. Keu dosre logo ka website pahle se hi rank kar raha he to aap usme apna baclink bana kar bahut sara visitor la sakte hai.



6.  Promotion

Jab koi bhi New Phone launch hota hai to oske Company ke taraf se Promotion karte hai taki oska Product sell ho sake or wo product se earning ho. To ussi tarha aap log ko bhi apna Blog ka Starting time me Promotion karwana parta hai taki aapke Blog pe jiada se jiada visitor aa sake. 

Ab aap bologe ki ham log kaise pane Blog ko Promot kara sakte hai. To me bata don ke aap apne Blog ko promot karne ke liye Social Media ka help le sakte keu ki aap log jante hi hai ki aaj kal ke log Social Medai pe kitne Active rahte hai. Or aap Social Media pe apna page bana sakte hai ta ki aap log ke Page se traffic aa sake. 

And agar aap ke Social Media pe jiada Follower honge to aapka to har article me bahut sare views aa sakte bas aapko apne Social Media pe apne article ko share karna hoga. Or isse article rank bhi kar sakta hai and bahut sare visitor bhi aa sakte wo bhi Google se.

Conclosion

To bas sidha sa Conclosion he ki agar aapko Ek Success Full Blogger banna hai to aap ye pure 6 tips ko follow kar hoga or Blogging karne ke liye Pura junnon hona chaye. Or han sabse jarori baat aap ko Patience rakhna hoga ye bahut jarori hoga agar aapko Success full Blogging karna hai to. And Blogging se paise kamane ke liye aapko ye sare tips ko dhiyan rakhna hoga. Or ye kaam aap jitna achacga se karoge utna jaldi grow ho sakti hai. 

India ki baat kare to aaj kal ke Student bhi Blogging karke bahut sare paisa kama sakte hai or waise me bhi ek Student hon. Lakin main jiada time se Blogging to nahi kar raha lekin Blogging ke bare me bahut kuch jaanta hon Or mujhe laga ki ye Knowladge aap logo ke sath bhi share karna chahye.

To bas aaj ke article me itna hi milte hai apne ek new article ke sath tab tak ke liya aap mujhe Follow kar sakte Social Media pe. Or han sabse jarori baat agar aapko iss Article me koi bhi samjh nahi aaye to aap mujhe Comment kar ke bata sakte hai.

Success Full Blogger Kaise Bane In 2018 Success Full Blogger Kaise Bane In 2018 Reviewed by Saquib on July 29, 2018 Rating: 5

2 comments:

  1. Bahu hi badiya tarike se aapne bataye, ye sabhi bloggers ko help jarur karega.. keep blogging

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks Ravi , bas aise hi sport karte raho phir dekho tum sab logo ko earning karwana mera kaam

      Delete

Powered by Blogger.